Thursday, May 6, 2010

Patriyon ki khoj main (c)

Mumbai jo Sapno Ka Shehar hai, har vyakti har mazhab ke logon ko paalta hai unke sapno ko sinchta hai... Par jab kuch mutthi bhar log apni taakat dikhane ke liye, hazarron lakhon logon ke sapne, mehnat or ummedon ko patri se uttar dete hain toh, toh vaise hi apni ummedon ka bojh dhonewale vyakti ke dil main shayad aise hi kisi dard ka ehsaas hota hoga....

Kho gayi zindaagi
Patriyon ki khoj main
Kho gaye rishtey bhi

Patriyon ke beech main

Apne hi hain sabhi
Par patri par nahi…
Chalte kuch saath par fir bhi hain dur sabhi…

Tham gayi aas hai milne ki ab kabhi
Kho gayi zindagi patriyon ki khoj main
Kho gaye rishtey bhi patriyon ke beech main

Milkar wo judtey hain…
Par fir alag wahi
Saathi sab saath hai
Par dil bilkul nahi
Jhoot ka milna hai…
Par doori ab bhi wahi

Kho gayi zindagi
Patriyon ki khoj main
Kho gaye rishtey bhi
Patriyon ke beech main...

No comments: