Monday, November 26, 2012

Har Taraf Aas Hai, Khushi Ka Ehsas Hai



Har Taraf Aas Hai
Khushi Ka Ehsaas Hai
Dil Mein Jo Baaat Hai
Keh Do Jo Bhi Khaas Hai 

Badal Gayi Si Lagti Raah Hai
Jab Kadam
Dheemey Padtey Hain
Mukaam Shayad Yahi Hai

Fir Dheeme Kadmo
Par Sawal Kyon Hai

Ye Mukkam Ye Therav 
Kuch Keh Rahi Hai
Thum Jaa, Saans Le, 
Soch Zara Tu Kahan Hai
Khushi Is Khamoshi Ki 
Thaam Le Tu Jaan Se

Is Waqt Ka Yahi Mijaaz Hai
Jo Paas Hai Wo Hi Saath Tera
Kho Gaya, Wo Kab Tha Tera!

Manzil Fir Dikhegi, Raah Fir Milegi
Aankh Khol, Dil Se Soch 
Badha Kadam Fir Us Oar
Kyunki Har Taraf Aas Hai
Khushi Ka Ehsaas Hai

No comments: